Hindi Quote in Gandhigiri by Jyoti Prakash Rai

Gandhigiri quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in Hindi daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

#Gandhigiri
Raghupati Raghav Raja Ram, Patit Pawan Sita Ram.
Yah mantra Bapu ji ko itna adhik mahatvapurn sabit hoga yah kisine sapne me bhi nahi socha hoga, Ek dhairyavan purush hone ki paribhasha bhi shayad gandhigiri kahi ja sakti hai.
Yadi aaj desh-duniya Mahatma Gandhi ji ke Janmadin par utsav mana rahi hai yah bhi unke dwara kiya gaya desh ke prati nihswarth bhav aur desh prem hai.
bhale hi ham aaj apne desh ko duniya ki nayi unchaiyon tak pahuchane me kamyab ho rahe hai lekin isme Mahtma Gandhi ji ka jo yogdan hai use koi bhi thukra nahi sakta.
ek langoti me safar pe nike aajadi ke josh, umang aur dhairya ke sath angrejo ka dat kar muklaba karne wale ham sabke pyare Bapu ji ne un angrjo ko desh chhod kar jane ke liye majboor kar diya.
Jaha banduke aur topo se hindustaniyon ko daraya dhamkaya aur mara jata tha un angrejo ke samne Bapu ji ek lathi le kar samna karne ke liye nikal pade aur daandi march karte huye Angrejo ko jhukne par majboor kar diye.
Ye thi Mahtma gandi ji ki Asli Gandhigiri. Aise Mahan purush ko hamara sat-sat naman
Namak Satyagrah aandolan ne angrejo ko jhakjhor kar rakh diya tha yah march dandi march bhi kahlata hai jo 12 march 1930 ko suruaat kar paidal yatra kar 24 din me pura kiya gaya tha.
Bharat chhodo ka nara bhi Mahatma Gandhi ne hi diya tha jo kuchh hi samay me aandhi ki tarah jan-jan me saves kar gaya aur har tarf se aawaj utne lagi "Angrejo Bharat chhodo".
Satya aur ahinsa ke pujari kahe jane vale Mohandas Karmchand Gandhi ji ka janm 02 october 1869 ko Porbunder Gujarat me hua tha.
Aaj ham unhe Rashtra pita Ya mahatma Gandhi Ya Bapu ji ke naam se bhi jante hai.
Jai Hind Jai Bharat

Hindi Gandhigiri by Jyoti Prakash Rai : 111264797
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now