The Download Link has been successfully sent to your Mobile Number. Please Download the App.
Continue log in with
By clicking Log In, you agree to Matrubharti "Terms of Use" and "Privacy Policy"
Verification
Download App
Get a link to download app
Maa kya thi sacchae tere angan ki , Jo char kadam bhi na chal payi.... Tu ne samjhaya tha , har kadam main phool bich jayenge tere , , agar zindagi main sabar tu sikh aayi.... Teri bato ka maan rakh kar Humne sikha sabar , , , lekin teri beti gungi hai bol kar ghar se bahar phek di gayi.... Socho yeh hota raha mere saath phir bhi main muskurayi.....lekin tere sikhae sabar ko main na bhul payi... Jish ghar main jakar maine apna ghar tha basaya....jab usi ghar ne meri kadar na ki toh main chal padi ush rah par jo kabhi thi mere jeevan ki sacchae..... Yaha tak pahuchkar maine tha socha ki , ab ho jayega meri zindagi main Sab pehle jaisa.... Lekin shaadi sudha ladki par laga tha chode jane ka chita.... Aise main jaha jaha main gayi , , bas ek hi sacchae nazar aayi..... Pinjra mayke ka ho yah sasural ka , , sone ka ho yah chandi ka.....zanjir toh mere pairo main har bar mere apno ne lagae....
Kya ho jab woh na ho jo apne socha ho.... Taklif hoti hai na ab sochkar.... Koshisho se khada kiya tha ek irada...... Kya ho jab kanch sa tukdo main toot jaaye woh.... Lafjo ke jaal main aapne apne maan ko tasalli di thi , Par kismat ko aapki galti ki kimat aaj hi aapse wasulni thi.... Marne ki kagar par hai ab jindagi.... Kya sach Kya jhooth aur kya tha dhokha ab samjhne ki halat main nhi hai dil..... Sab kuch chut gaya hai ab haatho se , Wapas se धैर्य karke khada hone ki himmat nhi hai bachi.....
Aaj kuch kami thi jindagi main, Jab sochne baithi toh yaad aaya , Kuch chod aayi hu main , Jo mera haath pakde college ke andar tak jata tha , Teen the hum , jo sayad se ek dusre ko pura karta the , Har roj na sahi , par kimti the woh din jo sayad bina plan kiye hi aa jata tha... So kar utho toh , college jane ka plan achanak hi ban jata tha.... Pagal tha dimag humara jo Exam ke halle main ek dusre ko writer ka naam yaad dilata tha , , Jo bhi tha , exam ke baad kitne page likhe yeh yaad karne ko dil chahta tha , , Umeed se jyada na umeed se Kam koi Marks laa pata tha , , Ab jaise bhi the , mujhe kabhi akela na hona feel karata tha..... Iffat fatma
दिए जलाने का दिन है , रोशनी फैलाने की रात है.... मन में सच्चाई की आस लिए , आई दिवाली की रात है..... प्यार का मिले वरदान सबको , यही मेरे दिल की बात है.... घर में बनाइ होगी रंगोली, बांटी होगी खुशियां मिठाइयों के साथ..... एक हाथ में होगी सोन पापड़ी , और दूसरे में होगी काजू कतली मेरे यार.... हर बार की तरह , इस साल भी हो..... आपके घर में , खुशियां अपार...... Happy diwali my dear family 🥰❤️❤️🥳
Bachpan , ki har yaad ko...... Koi jhuth nhi keh sakta...... Ab bina unh yado ke , Koi ji bhi nhi sakta...... School se wapas aaneh , par Kya khaoge beta , Yeh sunne ko mil nhi sakta.... Technology ke saath saath , Kya ehasso ka badlna tha accha...... Jaha hoti hai ab din ki suruwat, Haath main rakhe mobile ke saath.... Na parivar ko , namaste Na parivar ko , Salam.... Bas yaad rehta hai sabko , Kya phone main hai recharge...... Waqt ke saath bacche bhi gaye hai badal , Na baithe kabhi parivar ke saath ek pal...... Phir bhi aaj aapka din hai , Radhakrishnan ke naam ke saath suruwat karte hai aaj ki baat...... Ghar laut kar Karo ek nayi suruwat, Apne pariwar se ek bar kehke dekho ki , woh hai tumhare liye kitne khas..... Happy children day in Advance.......🤗🤗🤗
Bacche ki aas liye kuch baithe hai , Darga yah mandir ke dwar par , Na soch ke suruwat ki hogi , Beti paneh ki aas par... Sabko chahiye bas ek kul deepak , Jo badhae uske kul ka naam re..... toh Betiyo ko bojh samajne ki baat ko , bhulna ab humari jimmedari hai , Dusro ko bhi sahi raste par laneh ki , ab humari Bari hai , Ish daughter day apni bacchiyo ko , Ghar ki Laxmi maan , Unhe barabari ka adhikar de..... Unhe ladko se kaam samajhna chod de.... Woh jaisi bhi hai , unke guno aur awguno ko apna le.... Aur Shaan se beti paida honeh ko , Na shrap , Na abhishrap....... Apne ghar ka vardaan maan le....... International daughter day ki shubhkamnaye....
Pehchan ki jarurat nhi hai jab aapko Kandhe se Kandha mila ke chalne ka ehsaas ho jab aapko , Kehne lage jab log aapko , Ki ho tum apne papa ki parchaye, Tab jaan lena Kaun se nayi tarakki hai tumne payi , Ish naye pehchan ko Salam hai , Hum jaise bhi hai aapse hi humari pehchan hai , Roj bolne ki himmat na payi hai humne , I love you a lot yeh kehne ki himmat jutayi hai humne ,
Logo ko humne har waqt hi apna kaha tha , Har kisi ki khushi ki wajah banna chaha tha , par main thi anjaan ish duniya ke , Kale sach se , meri madad ko unlogo ne , Ek ehsaas mana aur mujhse hi daga kar, kisi aur ke rahi ban gaye....
जब बात हुई है हिंसा की , तो नारी को कैसे भूले हम.... जब बात हुई है हिंसा की , तो नारी को कैसे भूले हम.... घर की अंदर चल रही , बातों को जिसने , अपने अंदर कैद किया.... अपनी हर एक चीखों को जिसने , समय के साथ , रोकना सीख लिया..... अपने हर एक निशानों को , कभी दुपट्टे , तो कभी मेकअप के , नीचे ढक लिया...... हर वक्त में जो तुमने , खुद को भुला , जीना सीख लिया..... आंख बंद कर बैठी है , वह समाज आज भी.... आंख बंद कर बैठी है , वह समाज आज भी.... कभी चौराहे , कभी स्कूल , तो कभी घर के अंदर , आज भी पीट रही है कोई स्त्री...... अब तो आंखों की , उस पट्टी को खोलो..... स्त्री पर उठते हिंसा के , हाथों को रोक लो..... जहां जरूरत है वहां , जरा कुछ तो बोल लो.... दूसरे ना सही तुम खुद , एक बार पहल करके देख लो..... Iffat fatma
Logo ne sach hi kaha hai , har nirjeev ki bhi, apni khud ki pehchan hoti hai. chahe aap useh kalam bulaya...yah pen , par hum jeete jagte insaano main, apna khud ka swabhimaan man bhi nhi... Aisa kyu?
Copyright © 2025, Matrubharti Technologies Pvt. Ltd. All Rights Reserved.
Please enable javascript on your browser