Jo likha hai maine apni diary me,
sbko padh ke sunaogi kya.
●
●
Ye jo likha hai maine apni diary me
Vo sab dohraogi kya,
Aur ye jo log baithe hai yaha par,
Inko hamari baatien bataogi kya.
Bhale hi galat padh ke tum suna dena,
Magar vo raat wali baat bataogi kya,
Aur shaant hu mai bs tumko sunta rehta hu,
Tum kuch bhi apne mnn se mujhe sunaogi kya
Bhale hi sach chupa kar khud se bana kar suna dena,
Magar us raat jo hua tha bataogi na,
Kyu chodh kar us raat gyi thi chupaa lena,
Magar raqeeb tumko lene aaya tha bataogi kya,
Bhale hi na batana kuch vo raat wali baat,
Magar raqeeb ke paas mujhse jyada paisa tha bataogi kya,
Aur ha jo likha hai meri diary me bahut hosh me padhna,
Padhne ke baad apne aansuon ko rokpaogi kya,
Jo kuch bhi likha hai maine apni diary me,
Vo sara kuch dohraogi kya.