Kya khoob dikhaya ishq ka do tarfa rang tune
Jaan keh k anjana bana diya tune
Hum samjh na sake ye dastan ishq ki
Pal me samjh k pal me bhula diya tune
Ashq na rukte shab me mere
Ishq jo kiya wo sazaie mout mangte
Tujhe kuch na kahenge Mohabbat hai tu meri
Zara soch k dekh kya glti thi meri
Sach hai k mohabbat me insan pagal hota hai
Na din dekhta hai na shab dekhta hai bas apni mohabbat k khayalon me khoya rehta hai....
Fikr to aaj bhi hai
Bas tum na samjh sake
Ishq to aaj bhi hai
Bas jata nahi sake