Zindagi Ki hawa me udti chali gayi,
jaise jisne chalaya chalti chali gayi.
Na Dekha na samjha,
sab ko khush jo rakhna tha.
To bs khushiyan apni kurban krti chali gayi. Rishte-naate, jimmevariyan jaise umdte chale gaye,
khud Ke liye jaise waqt ki kami hoti chali gayi.
Jo aadatein thi khwahishein ban gayi,
Bs doosron ke sapnon me ghulti chali gayi.
Vo kitabein aaj bhi mujhe us sheeshe ki almari se jhankti hai,
kehti hai: hum intazaar karenge,
jaise meri najron ko pehchanti hain.
Bs har raat aise hi aankhon aankhon me beet ti chali gayi.
Apne sapne Apni ichhaein sab dairy ke panno tk simat kr reh gaye,
kalam Ki sihayi feeki hoti chali gayi.
Sab ko mehfilein deti gayi,
na Jane kb khud tanha hoti chali gayi.
Baalon ke chandi hone Ka pata bhi na chala
bs doosron ko jeene Ke sabak deti chali gayi..
-Ambalika Sharma(zindagi)