Ek Ladki hun main
-------------'
Ghar me sabki ladli papa ki beti hun main,
beta beta sab kahte hai pfir bhi ek ladki hun main ,
hansti , khilkhilati ek masum muskurahat hun main,
sada hi chup rahne ke liye kahte hai ki ek ladki hun main ,
apne hi ghar me ghumti ek anjaan paheli hun main ,
apne hi saaye se puchti ki kya ek ladki hun main ???
Farz pr chalti hui sangharsh sada kerti hun main ,
per garv ke sath kahti hun ki haan ek ladki hun main .