The Download Link has been successfully sent to your Mobile Number. Please Download the App.
Continue log in with
By clicking Log In, you agree to Matrubharti "Terms of Use" and "Privacy Policy"
Verification
Download App
Get a link to download app
zindagi achhe se kat rhi thi.... tabhi saadi naam ka bhukamp aa gyaa socha naye rishte banege... tabhi.. rishto ne..emergency.. lagaa d.....
Dil se banaaye the rishte socha. tha rishtedaar ban jaayenge pr jivan k safar na thi ki vo yu gaddar ban jaayenge jaroorat thi meri tab tak to rhe sath.. kya pta tha aage chalkar vo.humare dukho k talbgaar ban jaayenge.....
RISHTA.... aakhir kya he ye rishta or rishtedaar kismat ne hume de diye to bas hume unhe dhonaa he.. pr me kahungi ye sachhe rishte ki pahechaan nhi mera manna he rishta koi bhi ho magar usme dosti honi chaahiye fir vo rishtaa bojh nhi zindagi jeene ki vajah ban jaata he rishta chaahe koi bhi ho maa se bete ka .ya baap se beti ka bhai se bahen ka ya fir husband -wife ka hi kyu na ho rishto ka mtlb prem bandhan hota he bandish bandha nhi rishte dil se nibhaaye jaate he vhi sachhe rishtedaar kahelaate he jaraa sochkar dekhiyeggaa!
DARR.... darr kya he har kisiko koi na koi darr.. satata he. pr sabse badaa darr. .. hota he us maa ka jiski kokh me .. ladki aati he. pahle use paida karne ka darr.. ki kya vo ladki ko paida kar paayegi.. agar paida ho bhi gyee to is samaj me kaise survive karegi ek maa ko humesha ye darr satatahe ki kahi koi uske phool ko na kuchal de na kahi kisi ki buri nazar.. uski pari ko naa lag jaaye... ye darr har uss maa ko satata he jo ek beti ki maa he . pr uska darr.. lajmi he. pr kya koi upaay he ye darr... ko dur karne ka to me kahungj haa.. agar hum kisi pr bhi aankh mund kar bharosa karna band kare or apne ghar k laadlo ko ek aurat ki izzat karna bachpan se sikhaye..... ki bahen apni ho ya kisi or ki use protect kare na ki beizzat... pr kya aisa ho sakta he?
BACHPAN.... jiska naam lete hi chahre pr alg si chamak aa jaati he.. aisa lagta he kal ki hi to.. baat he ..pr samay ret ki tarah hath se fisal jaata he .. bachpan ki saitaniya.. khel.. masti.. sare aankho k saamne jhilmilaane lagte he.. jab bhi socho iske baare me. man bhi kitna ajib he jab chhote the to kahta tha bade hote to achha hota... kam se kam padhai se pichha chhutataa or aaj jab bade hue to bachpan suhana lagta he naa koi chintaa na fikar ... moj bhari zindagi.. sach kahu aaj agar apne zamaane ki adds... bhi dekhkar man bahut khus hota he ... Bhola sa tu bachpan bachpan naa jaane kab gujar gyaa.. hum khel me hi lage rhe tu dubke panv kidhar gyaa ...!
Aurat... is chhote se word me k..e.. rishte .. or ya u kahu.. saari duniya samaayee he har kisiko.. ko apni. zindagi.. me aurat ki jarurat hoti he roop chahe anek ho chahe maa.. ka.. ho bahen biwi.. ya dost.. kisi ki gaadi iske bina nhi chalne vali jaraa sochkar dekhiye ..bina aurat k is duniya ki kalpana hi adhuri he ek aurat hi he jo humesha apno k pichhe tyag karti aayee he vo chahe uske sapne.. ho ya fir koi or chiz pure ghar ka dhyan rakhne vali sabko samay dene vali... pr kabhi usse khud k baare me kuchh karne ko kahenge to... same ...ek ..hi ans. hoga time nhi milta.. hmmm.. hasna aata he na ye sunkar but ye sach. he.. ji jaan se sab pr samrprit rahne vali.. are.. uska to apna ghar bhi nhi hota.. maayke me ho to parayee he or sasural me paraaye ghar se aayee he.. yhi sunne ko milta he .. jis ghar ko vo savaarti he sajaati he kabhi husband k sath bahesh ho jaaye to vo bhi yhi kaheta he ki mere ghar me rahenaa he to mere hisaab se rho.. kya koi bataayegaa uska khud ka aakhir hota kya he.. jo sab kuchh sahti he har haal me har rishte ko nibhati he .. phir bhi parayee kahlati he.. are..ab or kya kahu bas itna kahungee please respect them . vo apno ko sirf ek insaan k liye chhodkar aati he kabhi apni family se dur rhe kar dekho apne dosto ko chhodkar dekho... ek aurat vo sab sirf kisi ek k liye chhodkar aati he or vhi ek agar use pyaar na de vo izzat na de to vo kya karegi kya? bas is sabd pr to kafi kuchh dimaag me aata he pr itna kafi he......
ek din me yuhi tahlne k liye bahar gaadi lekar nikal gyee mosam badaa suhana tha to socha long drive hi kar leti hu or jaate samay maine raste me ek bachhe ko dekha jise dekhkar me kafi pareshan ho gyee kyuki us bachhe ko kuchh din pahle maine well position me four wheeler se jaate dekha but ab vo ladka bilkul change tha look like garib sa ye dekhkar me ye sochne pr majboor ho gyee thi ki aisi to kya baat hui jo iska ye haal tha maine turant gaadi roki or usse puchha ki bete maine aapko k e baar gaadi me school jaate dekha he fir aap aise kyu...? us ladke ki aankho me pani tha or vo sahemi si nazar se mujhe dekh rha tha .. maine uske sar pr pyaar se hath rakhkar apne sawaal ko dohraya.. pr vo mujhe aise dekh rha tha ki me uske sath kuchh galat ... means maar pit.. karungee. maine uska hath pakda or fir vo hath chhudakar vhi ek diwaar k peeche chhip gya jab maine use yakin dilaayaa ki me kuchh nhi karungee.. tab bahut der baad mere kafi kuchh kahne pr vo pass aaya or bolne lagaa ki didi mujhe bechna mat me aapko pareshaan nhi karungaa khana bhi nhi mangooga . bas aap mujhe bechna mat itna sunkar mere hosh ud gye meri aankho me aansu the maine use turant gale se lagaa liya or use samjhaya. ki me aisa kuchh nhi karungee or na kisi ko karne dungi.. but tum aise kaise..? tumhare mumny papa kaha he? vo rote- rote bola ki ve dono car accident me mar gye or me baar-baar khana mangta hu to mere uncle aunty mujhe bechna chahte he or vo ye bhi kahte he agar me vha rha to unhe mujhe propperty deni hogi agar mujhe bech denge to sab kuchh sahi ho jaayegaa to me ghar se bhaag kar aaya hu aap please kisi ko mere baare me mat batana or vo mere saamne hath jodkaar rone lagaa . ye saari baate sun kar me soch nhi paa rhi thi ki me use kya kahu bas meri aankhe bhi nam thi maine use gale lagaa liya or use kahaa aisa kuchh bhi koi aapke sath nhi karegaa or me use sath ghar le aayee. pr me ye sochne pr majboor thi ki bachpan me maa or baap ka hona kitna jaroori he varna jo maa or papa k aage pyaar jataate rishte hote he vo unke naa hone pr kitne jhoothe saabit hote he .. or aaj k samay me jo apne maa or papa se ye kahte ki unhone unke liye kya kiya he ye kahani sabab he ek.. ki unhone sath rahekar tumhe paal pos kar kaabil banaya he are jaraa sochkar dekho agar aapki kahaani is bachhe ki tarah hoti agar sath maa baap na hote to aaj aap yha hote kya? please care your parents and respect them....
Copyright © 2024, Matrubharti Technologies Pvt. Ltd. All Rights Reserved.
Please enable javascript on your browser