Quotes by MOHD ARSHMAN S BAWEJA in Bitesapp read free

MOHD ARSHMAN S BAWEJA

MOHD ARSHMAN S BAWEJA

@mohdarshmansbabejagmail.com9858


aaj fir yaadon ka mahool zinda ho gaya hai kyu root ke chala gaye ho zindagi se sab ki

bahut pareshan hu zindagi se pata nahi kya chahati hai chain sukoon kanha chala gaya zindagi se ab toh pyar se bhi ajeev sa lagta hai kisi se bat karne mein ajeev lagta hai pata nahi kya ho raha hai zindagi mein

Suni Suni Dagar Ujda Ujda Chaman
Bin Tere ye na mehkega Mashke Khutan
Tut kar jaise gir jayega ye gagan
Meri Maa Tu hai Jannat mein Mashko Magan

Kaise Tujse kahu Fir se aaja yaha
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Sabr karta to hu Sabr aata nahi
Samne Teri Surat koi lata nahi
Tera paigam ab koi lata nahi
Darde Dil haye Mera bhi jata nahi
Kisko Apni sunayenge Ham dastan
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Qabr Teri bane Ek umda Chaman
Tera maila na ho Ta-Qayamat Kafan
Soti reh jaise soti ho koi Dulhan
Ye Dua karte hein sare hi Mardo Zar
Tujko mil jaye Jannat mein behtar Maqam
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Ye to mumkin nahin bhul jaun Tuje
Raat Din fiqr hai kaise paun Tuje
Dil mein kya hai Tamanna bataun Tuje
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa Meri Maa Teri mamta pe qurban mein
Bhul jaun na Maula ka Farman mein
Yad kar kar ke ho jaun hairan mein
Tujko padh padh ke bakhshunga Quran mein
Tere bete gute Aur Tu uski Maa
Meri Maa Meri Maa
Meri Maa Pyari Maa
Writer By Mohd Arshman

Read More

______One Latter Dear Mother Farher ______
Dear ammi main khush hu aaj ki ek bat batana thi aaj maine Nisha bahen ki Ammi se hai ki or bahut accha laga bat kar ke or dil mein lagta raha hai tum aaj bhi zinda ho mere pass ho mere samne ho Nisha se mujhe Ek Ammi mili ek papa mile Neha jaisi bahen mili Nisha bahen mujhe bahut sahara diya or hamesha ek parwa si ki kyuki na kare main bhi unki parwa karta hu aap dono ko pata hai papa ka naam Hifzur rahman hai or Ammi ka naam ishrat janha ab maine bhi decide kar liya hai unke bete ka naam bhi Arshman hai main janta hu aap dono khush ho aaj or bahut khush ho bus ek smile kar dena meri akeli zindagi mein ab family ka shukh mil gaya hai ek ghar mil gaya hai Ammi waise maine 4 din se khana nahi khaya hai bus khud ko zinda rakhne ke liye maine thodi chay or barger kha rakha hai aapke rakhe huye bartan aaj bhi mujhse naraj hai main unka use nahi karta hu Mahi thodi Pagal si ho gayi hai kyu na ho pagal uska best friend special jo hai uski ek smile mujhe bahut khush karti hai ammi papa zindagi mein lagta hai jeene ki wajah mil gayi main Nisha bahen ke ghar jaunga or keh dunga saf saf ammi papa se main ab is ghar mein hi rakhunga or mujhe kuch bhi nahi pata ab woh kuch bhi samjhe unhe pata hona chahiye ek beta or kanha rahega isiliye main ab unke ghar hi rahunga kuch song bhi gaye haan thode bekar hai but maza aaya tha gaane mein mama ko aaj phone kya tha or bataya tha Nisha bahen ki Ammi se bat ki haan unhe hansi aayi or bole bus khush raho thodi mazak bhi huyi thi or ghar mein gaya tabh wahi udash deeware khamosh rang or bikhra saman aaj bhi waisi nazar aaya main so gaya or bina khaye hi aankh khuli tabh bahut yaad aaye or main fir bahar chala gaya wanha bhi khud ko akela paaya fir ghar aaya or chay peene ka mann banaya woh nahi kar paya kyuki papa main toot chuka hu mar chuka hu andar se dil mein ab jaan nahi rahi hai or sab kuch lut chuka hai ek bap ke naate aaj kuch aaj mang raha hu ek bar aajao mujhse bat kar lo mujhe apna face dikha tadap gaya hu main yeh sab karne ke liye ek bar aajao aap dono

Read More