Gujarati Quote in Shayri by Kishan Parmar

Shayri quotes are very popular on BitesApp with millions of authors writing small inspirational quotes in Gujarati daily and inspiring the readers, you can start writing today and fulfill your life of becoming the quotes writer or poem writer.

Ye chhoti-chhoti galatiyo par,
Maa ka mujhe chimti kaatna.
Ye Ghar deri se aane par,
Papa ka mujh par gussa ho jaana
Ye bahaar ki cheeze khaane par,
Dadi ka mujhe roz-roz daatna.
Ye sharmnaak naamo se,
Bhai ka Meramazaak udaana.
Pareshaan karta hai kabhi-kabhi
Par achha lagta hai kahi na kahi
Hazaaro umeede humse
le betha hai ye zamaana.
Hazaaro zimmedariya hume
de betha hai ye zamaana.
Shikaayato ka bhandaar ye le khada
Samajta hai Hume apni Umra se 


Aise zamaane mein acha lagta hai ye ki,
Ek Pakke nakaabi chehre ke peeche,
Hume,'kacha' samajhta hai koi abhi bhi
Pad, Umra, Kad sab chod ke peeche,
Hume, 'Bacha' samajhta hai ko...abhi bhi!
Dhalti shaam me jese dhoop kahi khone
lagti hai,
badhti umra mein khone Lagta hai
bachpan.
Raat beet jaane par jese nai subah
karwaati hai uss pehle jesi dhoop ke
darshan,
Zamaane kibheed se lautkar Ghar aane
par, laut aata hai bachpan.

Gujarati Shayri by Kishan Parmar : 111032613
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now