Rohit ...'ishq ke hāthon se hargiz na mafar dekhā

utnī hĩ baDhĩ hasrat jitnā hī udhar dekhā

thā khel sa pahle 'ishq lekin jo khulīn āñkhen Duubā huā rag rag men vo tīr-e-nazar dekhā

sab ho ga.ī uTh uTh kar ik baaz nisār sham' parvānoñ ne kyā jaane kyā vaqt-e-sahar dekhā

vo ashk bharī āñkhen aur dard bhare naale allāh na dikhlā.e jo vaqt-e-sahar dekhā

qurbāñ tirī āñkhon ke sadqe tarī nazron ke thā hāsil-e-sad-nāvak jo zakhm-e-jigar dekhā

jaate rahe dam-bhar men saare hī gile shikve us jān-e-taghāful ne jab ek nazar dekhā

ahd-e-gham-e-furqat meñ dil aur jigar kaise ik zakhm idhar paayā ik daagh udhar dekhā

thā bā.is-e-rusvā.ī har-chand junūñ merā un ko bhī na chain aayā jab tak na idhar dekhā

is chashm-e-ghazāleñ ko mai-khāna-e-dil paayā us rū-e-nigārīñ ko firdaus-e-nazar dekhā

yuuñ dil ko taDapne kā kuchh to hai sabab āķhir yā dard ne karvaT lī yā tum ne idhar dekhā

kyā jāniye kyā guzrī hañgām-e-junūñ lekin kuchh hosh ho aayā to ujņā huā ghar dekhā

māthe pe pasīnā kyuun āñkhon men namī kaisī kuchh khair to hĩ tum ne kyā hāl-e-jigar dekhā

English Motivational by R : 111948612
New bites

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now