The Download Link has been successfully sent to your Mobile Number. Please Download the App.
Continue log in with
By clicking Log In, you agree to Matrubharti "Terms of Use" and "Privacy Policy"
Verification
Download App
Get a link to download app
Beti hu mein, parampara hai ye Malum hai mujhe, K apko mujhe vidaa krna hi hoga, Par kaise ye mumkin hogA? Din mein hazar baar apki awaz na sunu Toh maan bechain sa ho jaata hai Meri ankhein khulte hi, mein ap sab ka chehra nhi dekh paungi, Ye sochke, dhadkane tez ho jaati hai Kuch na kuch bahane se baar baar pukarna apka, Yaad ayega mujhe, Mujhe na dekhte hi, apka mujhe dhundna, Apko bhi satayega na, Apki kami mujhe, har pal mein khalegi, Apki aadat mujhe, bohot satayegi Apko meri jarurat ho, aur mera yahan maujud na hona, Taklif dega mujhe, Meri tadap ka apko koi andaaza nahi, Ye pal jaise jaise kareeb aa rha hai, Mera jeena khtm hote jaa rha hai.
Chaahte ho, Hamesha kaamyaab hona, Toh charche mat kiya karo, Apne guzre pal Aur aane wale kal k.
Mere hazaron waadon ko Zimmedariyon ka naam dekar Tod diya usne
Bohot kuch sikh rahe hai ab zindagi se, Kaise bichdne par gam nahi karte, Dusro k khayalon mein, Yunhi pal gawaya nahi karte, Kisi k shabdo par, apna mann chota nahi karte, Duniya hai, Log yaha kuch yaad rakha nahi karte.
Kabhi kabhi sab kuch bayaan kar pana Itna mushkil ho jata hai, Ki khamoshi ko apnane k Alawa Koi aur sukoon nahi hai.
Kuch sawaal itna satate hai, Ki duniya ki bhid mein bhi, Sirf khamoshi hi mehsoos hoti hai
Meri tabahi ka khauf na de mujhe, Jo jaante hai mujhe, Woh haalaat k mohtaaj nahi.
Itna galat theraye Gaye hai, Ki Ab galtiyon se nahi, Insaan se darte hai.
Copyright © 2025, Matrubharti Technologies Pvt. Ltd. All Rights Reserved.
Please enable javascript on your browser