Quotes by mariyam in Bitesapp read free

mariyam

mariyam

@mariyam1235


*Title:* Dil ki baat


Haqiqat mein haqiqat hai, haqiqat ko Khuda jaane,
Murshaad......mere dil mein mohabbat hai, tere dil ki Khuda jaaane

---

*Title:* Maa ne pucha kab aaoge

*Kahani:*
Gaon se shehar aaye 6 mahine ho gaye. Roz phone aata hai maa ka - "Beta kab aaoge? Teri pasand ka baingan ka bharta banaungi."

Har baar bol deti hu - "Next month maa, pakka."

Kal raat fir call aaya. Maa ki awaaz kaanp rahi thi - "Bas ek baar dekhna hai tujhe."

Aaj ticket book kar li. Maa ko nahi bataya. Soch rahi hu achanak pahunch jaungi to kitna khush hogi.

Shehar ne bahut kuch diya, par maa ke haath ka khana... wo sukoon kahin nahi milta hai

Read More