Quotes by Akanksha in Bitesapp read free

Akanksha

Akanksha

@dasakanksha071gmail.com459836


Sochta Raha...

Woh khud se ladta raha har raat,
Bina awaaz, bina kisi shikayat ke saath.

Sochta raha — galti uski thi ya kismat ki baat,
Har pal usi ek sawal mein uljha raha raat - beraat.

Chhoti si baat bhi dimag mein tufaan ban gayi,
Muskaan to thi, par aankhon mein thakan si reh gayi.

Log kehte hain sab theek lagta hai,
Par woh jaane, andar kitna kuch toot jata hai...

~Akanksha✨

Read More