barha dil me ek sawal aaya..
aaj socha to ye khayal aaya.
do kadam saath bas chale tum hum,
humsafar to na the kabi tum hum.
kisne socha tha din ye aayenge,
apne saye bhi chhut jayenge.
mai na janu mujhe khushi hai ya gham,
humsafar to na the kabhi tum hum.
dil hai bejar jism bejan hai,
koi ehsaas hi nahi baaki.
na ye aakhe ye soch ke hui nam,
humsafar to na the kabhi tum hum.
barhaa dil me ek sawal aaya,
aaj socha to ye khayal aaya.