Aaye ho jaha se wapis wahin pe jana hai,
kabhi kehte ho mujhe naam kamana hai par mrte samay ye yahin reh jana hai,
kabhi kehte ho sapno ko saakar banana hai par usse bhi pehle matribhoomi ka maan badhana hai,
kyunki
jab tod denge log rishte tab usi maa Bharti ne apni god main sulana hai,
bs yahi hai itni si baat jise tumhe bhi apnana hai.
-Shruti Sharma